Friday, August 9, 2013

Ek adat thi tumse roz baat karne ki
Subha uthte hi tumhe fone ghumane ki
Tumhare ye kehne pe ki abhi aur sona hai
Ek adat thi kuch der me fir se jagane ki
Aaj tum nahi ho to dil kehta hai
kuch to abhi baki hai
Ek adat thi roz ka haal sunne sunane ki
Har pal ke kisse dohrane ki
Un kisso ko jaise tumhare sath jee jane ki
Ek adat thi tumhe satane ki
Aaj tum nahi ho to dil kehta hai
kuch to abhi baki hai
Ek adat thi tumpe haq jatane ki
Be matlab si chhoti baton pe cheekhne chillane ki
Ek adat thi tumhe baton me harane ki
Aaj tum nahi ho to dil kehta hai
kuch to abhi baki hai
Ek aadat thi tumko darane ki
Lad ke door chale jaane ki
Fir jhat se train pakad ke tumse milne aane ki
Ek adat thi tumhare sath wakt bitane ki
Aaj tum nahi ho to dil kehta hai
kuch to abhi baki hai
kya hua ke wo wakt bechara roothh gaya
kya hua ke saath tumhara chhoot gaya
kya hua ke pyar yu majboor hua
dil bechara sach ke hatho choor hua
ab aadat hai mujhko dil jalane ki
ab aadat hai mujhko dhhokha khane ki
ek baar fir se tu mil jaa mujhe
ab aadat hai mujhko jeeteji mar jaane ki

No comments:

Post a Comment